kaam itna mere pyare charkh-e-kuhan se nikle tum se na hun juda main jab jaan tan se nikle tum haalat-e-naza mein bhi pas mere rahna ta kalima-e-mohammad mere dahan se nikle yarab na ta-qayamat muhtaj hun kisi ka jo ho meri tamanna wo panj-tan se nikle wahshat na qabr mein ho tum samne hi rahna dast-e-junun na mera bahar kafan se nikle hai lutf zindagi ka baad-az-fana usi mein nam-e-khuda jo apne sab tan-badan se nikle roza namaz tasbih pahunchaenge na wan tak hoga visal usi ko jo ma-o-man se nikle apni khabar na baqi rah jaegi kisi ko parde se gar kahin wo ek bankpan se nikle yaad-e-qad-e-sanam mein main dun misal us waqt jab kaam koi mera sarw-e-chaman se nikle 'mardan' jo koi dube dariya-e-ishq mein wo chhote khudi se apne hubb-e-watan se nikle