kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigah-e-majaz mein

kabhi ai haqiqat-e-dilbari simat aa nigah-e-majaz mein
ki tadap rahe hain hazaron dil rah-e-ishq-e-sina-gudaz mein

ye kashish ye jazb ye moajiza nigah-e-yatim-e-hijaz mein
ki pade the saikdon ghaznawi bhi jahan libas-e-majaz mein

faqat ek nuqta gunah ka sar-e-charkh abr-e-siyah bana
nazar aain mujh ko jo wusaten teri afw-e-banda-nawaz mein

ye nahin ki hum mein nahin hain wo ye nahin ki ain hami hain wo
magar ek haqiqat-e-manawi hai nihan libas-e-majaz mein

na ana ghalat tha na haq-e-ghalat magar itni si ghalati hui
ye jo raaz tha use chahiye tha chhupana parda-e-raaz mein

jise pi ke pir bane jawan jise pi ke chikh uthe jawan
ye wo mai hai saqi-e-mai-kashan teri chashm-e-baada-nawaz mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close