kabhi dekhen jo ru-e-yar daraKHt

kabhi dekhen jo ru-e-yar darakht
apne phulon ko samjhen khar darakht

chaar-su hai inhen ka likh pida
ye anasir ke hain jo chaar darakht

mere gulzar mein hain shoale phul
mere har aah shoala-bar darakht

sau fasad ek ishq mein utthe
boya ek tukhm uge hazar darakht

jab chala bagh se wo sarw-e-rawan
ho gae taeron ko dar darakht

jis ko tuba zamana kahta hai
tere ghar mein hai saya-dar darakht

tu khizan mein jo sair ko nikle
mere ho jaen be-bahaar darakht

phal na laya nihaal-e-ishq apna
phale-phule hazar bar darakht

'bahr' kya nashshe mein khush aate hain
nahr-e-gulshan ke dar par darakht


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close