kabhi hai gul kabhi shamshir sa hai wo goya wadi-e-kashmir sa hai rawabit sab hisar-e-hijr mein hain talluq tutti zanjir sa hai bura sa khwab dekha tha jo shab mein ye din us khwab ki tabir sa hai hain gardish mein lahu saat manazir zamana aankh mein taswir sa hai 'qamar' girdab tak aao to jaano jo muzhda lahron pe tahrir sa hai