kabhi hudud se bahar kabhi wo had mein raha

kabhi hudud se bahar kabhi wo had mein raha
mera yaqin hamesha guman ki zad mein raha

hai bahr-o-bar mein rawan haal mera sayyara
gahe wo burj-e-samak mein gahe asad mein raha

usi ke dam se rahi zindagi ki rangini
junun ka kaif jo paimana-e-khirad mein raha

use nasib kahan lazzat-e-sabil-e-safar
wo karwan jo nigahbani-e-rasad mein raha

use kahan se milegi tere makan mein aman
tamam-umr jau paikar-e-nek-o-bad mein raha

'raza' jo guzra to kuchh raushni bhi chhod gaya
wo ek sharar tha jo andesha-e-abad mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close