kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain

kabhi hum but kabhi nur-e-sanam ko dekh lete hain
aqide se badi dair-o-haram ko dekh lete hain

kabhi rote hue mujh ko nazar-andaz karte hain
kabhi aankhon mein wo halki si nam ko dekh lete hain

kabhi us muskurahat mein kabhi us be-rukhi mein hum
sitam ko dekh lete hai karam ko dekh lete hain

hamein is waste bhi aaine par pyar aata hai
hum apni aankh mein apne balam ko dekh lete hain

bichhad ke ho chuke barson magar khwabon ko hai taslim
hum un ko dekh lete hain wo hum ko dekh lete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close