kabhi qatar se bahar kabhi qatar ke bich main hijr-zad hua kharch intizar ke bich bana hua hai talluq sa ustuwari ka mere tawaf se is mehwar o madar ke bich ki aata jata rahe aks-e-hairati is mein bichha diya gaya aaina aar-par ke bich hawa ke khel mein shirkat ke waste mujh ko khizan ne shakh se phenka hai rahguzar ke bich ye main hun tu hai hayula hai har musafir ka jo mit raha hai thakan se udhar ghubar ke bich koi lakir si pani ki jhilmilati hai kabhi kabhi mere matruk aabshaar ke bich main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulat tazad samt ka hai asp aur sawar ke bich