kabhi sarab karega kabhi ghubar karega

kabhi sarab karega kabhi ghubar karega
ye dasht-e-jaan hai miyan ye kahan qarar karega

abhi ye bij ke manind phutta hua dukh hai
bahut dinon mein koi shakl ikhtiyar karega

ye khud-pasand sa gham hai so ye umid bhi kam hai
ki apne bhed kabhi tujh pe aashkar karega

tamam umr yahan kis ka intizar hua hai
tamam umr mera kaun intizar karega

nashe ki tarah mohabbat bhi tark hoti nahin hai
jo ek bar karega wo bar bar karega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close