kabhi shuur kabhi dil kabhi suKHan mahke

kabhi shuur kabhi dil kabhi sukhan mahke
kaho wo sher ki duniya-e-fikr-o-fan mahke

ata hamein bhi jo ho jae 'mir' ka andaz
to lafz lafz se mani ka pairahan mahke

rahun khamosh to phulon ko nind aa jae
padhun jo sher to lafzon ka bankpan mahke

larazte honton ki wo guftugu to yaad nahin
bas itna yaad hai barson lab-o-dahan mahke

dabi hui hai jo sadiyon se gham ki chingari
bhadak uthe to khayalon ki anjuman mahke

kabhi to aisa zamana bhi aae ai 'gauhar'
mohabbaton ki faza se mera watan mahke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close