kahte hain log shahr to ye bhi khuda ka hai manzar yahan tamam magar karbala ka hai aate hain barg-o-bar darakhton ke jism par tum bhi uthao hath ki mausam dua ka hai ghairon ko kya padi hai ki ruswa karen mujhe in sazishon mein hath kisi aashna ka hai ab hum visal-e-yar se be-zar hain bahut dil ka jhukaw hijr ki jaanib bala ka hai ye kya kaha ki ahl-e-junun ab nahin rahe 'asad' jo tere shahr mein banda khuda ka hai