kaise paun tujhe girdab nazar aata hai aur tu mujh ko tah-e-ab nazar aata hai tu jo dikh jae to main id mukammal samjhun ab mujhe tujhmen hi mahtab nazar aata hai chaak daman bhi hai muflis bhi hai be-ghar bhi hai is liye zar ka use khwab nazar aata hai ek wo shakhs jo auron ke liye jita ho aaj ke daur mein kamyab nazar aata hai daur-e-mushkil mein mujhe jis ne nahin pahchana aaj wo milne ko betab nazar aata hai