kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue

kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue
wo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue

parinde aae to gumbad pe baith jaenge
nahin shajar ki zarurat mazar hote hue

hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke bich
ki shak bhi dil mein rahe e'tibar hote hue

mere wajud se dhaga nikal gaya hai dost
main be-shumar hua hun shumar hote hue

dubo raha hai mujhe dubne ka khauf ab tak
bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue

wo qaid-khana ghanimat tha mujh se be-ghar ko
ye zehn hi mein na aaya farar hote hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close