kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha

kamre mein dhuan dard ki pahchan bana tha
kal raat koi phir mera mehman bana tha
bistar mein chali aaen machalti hui kirnen
aaghosh mein takiya tha so anjaan bana tha
wo main tha mera saya tha ya sae ka saya
aaina muqabil tha main hairan bana tha
nazron se churaata raha jismon ki halawat
sunte hain koi sahib-e-iman bana tha
naddi mein chhupa chand tha sahil pe khamoshi
har rang lahu-rang ka zindan bana tha
harfon ka bana tha ki maani ka khazina
har sher mera bahs ka unwan bana tha
This is a great anjaan ladki shayari. Please share if you liked this!!!