kaniz-e-waqt ko nilam kar diya sab ne ye wahm kya hai bada kaam kar diya sab ne koi bhi shakhs sehat-mand kya nazar aae munafarat ka sabaq aam kar diya sab ne mili na jab unhen tabir apne khwabon ki phir apni aankhon ko nilam kar diya sab ne bura samajh ke buzurgon ne jis ko chhoda tha wo kar-e-bad khush-anjam diya sab ne har ek sach ko to mansub kar liya khud se tamam jhut mere nam kar diya sab ne jo apne ahd ko sachchai bantta tha 'zafar' us ek shakhs ko badnam kar diya sab ne