kar-e-asan ko dushwar bana jata hai wahima koi bhi ho kaam dikha jata hai khulne lagte hain nigahon pe jab asrar-o-rumuz dil mujhe le ke kahin aur chala jata hai ghar mein rahna mera goya use manzur nahin jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai sada rakhne se sada deta hai qirtas mujhe lafz likh dun to meri sakh gira jata hai ishq ne aisa banaya hai jahan-dar mujhe har khasara meri sochon mein sama jata hai aao hum pahle talluq ko samajh len 'mohsin' ranjishen hon to marasim ka maza jata hai