karam ke nam pe un ka itab chahte hain nigah-e-shauq ko hum kaamyab chahte hain sukun-e-dil mein gham-o-iztirab chahte hain hum aise log bhi kya inqalab chahte hain chaman mein ahd-e-bahaaran ki aarzu kar ke qafas-nasib qafas par azab chahte hain ye aazmaish-e-qalb-o-nazar maaz-allah tumhaare jalwe ko hum be-naqab chahte hain mujhe raqib samajh kar jo mere mohsin hain meri nazar ka hasin intikhab chahte hain jahan khulus-e-tijarat ke fan mein dhal jae hum aisi duniya se ab ijtinab chahte hain ye ahl-e-husn ki fitrat ajib fitrat hai sawal karne se pahle jawab chahte hain