karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi

karb hai karb ki aawaz barabar hai yahi
teri qimat hai yahi tera muqaddar hai yahi
ji mein hai ab kisi darwaze pe dastak de dun
aur phir puchhun ki ai shakhs mera ghar hai yahi
kaun samjhega agar main ne kahi bhi rudad
chup hi ho jaun mere waste behtar hai yahi
ab to jo zarra bhi daman se lipat jata hai
main samajhta hun mera mehr-e-munawwar hai yahi
chandni-raat mein khud apne hi sae se milun
mera munis hai yahi ab mera rahbar hai yahi
ab to har lahza har ek mod pe hota hai guman
jis ke bare mein suna hum ne wo mahshar hai yahi
sher kahne ko to hum ne bhi kahe hain 'nuri'
ye jo khamosh sa baitha hai sukhnawar hai yahi

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close