karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas

karb wahshat uljhanen aur itni tanhai ki bas
jaane kyun taqdir ne li aisi angdai ki bas

jab kabhi bhule se bhi aaina dekha tere baad
apni hi surat mein wo surat nazar aai ki bas

todne jab bhi chala zindan-e-ab-o-gil ko main
jaani-pahchani hui aawaz ek aai ki bas

chilchilati dhup gham ki hadson ke saeban
soch ka tapta ye sahra aur ye purwai ki bas

kash na-bina hi rahta is muqar-khana mein
tohfatan duniya ne di hai aisi binai ki bas

nochti kab tak rahengi yun barahna khwahishen
ta-ba-kai hoti rahegi aisi ruswai ki bas

main hun ai 'hamdun' ek zinda giraftar-e-lahad
apni hi taqdir se thokar wo hai khai ki bas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close