karun hun raat din phere kai phere miyan sahib kabhi to bhi na paya tum ko hum dere miyan sahib uthawen kyun na naktode ki hum chaakar hain ulfat ke wagarna tum se aalam mein hain bahtere miyan sahib jahan ke khubsurat hum bahut taden hain nazron mein tu sab ka sab tarah sahib hai ai mere miyan sahib yahi hoti hai aashiq-parwari ki shart hai zalim ki hum marte hain tum jate ho munh phere miyan sahib bura karte ho jo ghar se nikal jate ho 'hatim' ke nashe mein mast ujiyale o andhere miyan sahib