karun kya sakht mushkil aa padi hai meri dahliz par chahat khadi hai maqam-e-zabt hai ai dil sambhalna judai ki ghadi sar par khadi hai rasai kab dilon tak pa saki wo mohabbat jo kitabon mein padi hai shikasta hain mere aasab yun bhi ana se jang ek muddat ladi hai kai din se barahna mere dil mein talluq ki koi mayyat padi hai use milna bhi hai qaid-e-musalsal judai ki bhi apni hathkadi hai