kasa-leson ne jo thi nazr utari teri

kasa-leson ne jo thi nazr utari teri
wahi le dubi tujhe hasht-hazari teri

puchha jaega daur-e-humayuni ka
ru-ba-kar aaj hai sarkar se jari teri

us ka didar hama-waqt ibaadat meri
aankh ne dil pe jo taswir utari teri

hum ne har samt bichha rakkhi hain aankhen apni
jaane kis samt se aa jae sawari teri

tark-e-ulfat ka irada hai musammam us ka
kaam aai hi nahin minnat-o-zari teri

zarb-e-paiham ka tasalsul na abhi tod 'sadid'
ek nai zarb bhi ho sakti hai kari teri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close