kash aisi bhi koi saat ho ru-ba-ru aap hi ki surat ho sochti hun to dil dhadakta hai tum mere jism ki hararat ho kitne sajdon ka qarz hai mujh par sar jhuka lun agar ijazat ho nind aankhon mein is liye aai un ke aane ki kab bashaarat ho mujh ko bheja gaya hai ye kah kar tum mere ishq ki amanat ho hum bhi kar len namaz ki niyyat husn wale teri imamat ho tark duniya karungi jab main bhi samne mere jam-e-wahdat ho hijr ki shab mein wasl ka lamha ab to har din yahi karamat ho yun pighalne se kuchh nahin hasil 'shama' jalna teri mohabbat ho