kash maqbul ho dua-e-adu kya karun wo bhi mustajab nahin ab to us chashm-e-tar ka charcha hai zikr-e-dariya nahin sahab nahin jama tufan-o-chashm-e-tar masraf ab masarif ka kuchh hisab nahin dho diya sab ko dida-e-tar ne wo nahin dars wo kitab nahin ishq-bazi ka munh chidana hai aur wo mausam nahin shabab nahin teri aankhon ke daur mein kya kya sehr ruswa nahin kharab nahin mukhtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai us ko aaram us ko khwab nahin jo sarapa-e-yar 'azurda' tere diwan ka intikhab nahin