kash padte na in azabon mein dhundte hain tumhein sarabon mein kabhi kanton kabhi gulabon mein kho gae hum ye kin azabon mein nashsha-e-yar ka nasha mat puchh aisi masti kahan sharabon mein us ka jalwa dikhai deta hai sare chehron pe sab kitabon mein samne hon to aankh khulti nahin jagte hain hum un ke khwabon mein