kashti rawan-dawan thi samundar khula hua aankhon mein bas gaya hai wo manzar khula hua bistar tha ek jism the do khwahishen hazar donon ke darmiyan tha khanjar khula hua uljha hi ja raha hun main galiyon ke jal mein kab se hai intizar mein ek ghar khula hua ek harf-e-muddaa tha so wo bhi dabi zaban ilzam de raha hai sitamgar khula hua sahra-naward shahr ki sadkon par aa gae chehre pe gard aabla-pa sar khula hua