Khaali duniya mein guzar kya karte

khali duniya mein guzar kya karte
bin tere umr basar kya karte

tu ne manzil hi badal di apni
hum tere sath safar kiya karte

ek hi khwab-e-junun kafi tha
dekh kar bar digar kiya karte

apni hi uljhanon mein uljhe the
hum teri zulf ko sar kya karte

hum jo diwangi mein kar guzre
aql wale wo hunar kya karte

jo kiya tu ne khuda jaanta hai
hum tere sath magar kya karte

jabki raste mein bikharna hi tha
bandh kar rakht-e-safar kya karte

jism ka bojh liye laute the
shahr walon ko khabar kya karte

jo kiya tu ne khuda jaanta hai
hum tere sath magar kya karte

khud zamin odh li ki hum aage
aur be-samt safar kya karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close