khabar to dur amin-e-khabar nahin aae bahut dinon se wo lashkar idhar nahin aae ye baat yaad rakhenge talashne wale jo us safar pe gae laut kar nahin aae tilism unghti raaton ka todne wale wo mukhbiran-e-sahar phir nazar nahin aae zarur tujh se bhi ek roz ub jaenge khuda kare ki teri rahguzar nahin aae sawal karti kai aankhen muntazir hain yahan jawab aaj bhi hum soch kar nahin aae udas suni si chhat aur do bujhi aankhen kai dinon se phir 'ashufta' ghar nahin aae