khafa hona zara si baat par talwar ho jaana magar phir khud-ba-khud wo aap ka gulnar ho jaana kisi din meri ruswai ka ye karan na ban jae tumhaara shahr se jaana mera bimar ho jaana wo apna jism sara saunp dena meri aankhon ko meri padhne ki koshish aap ka akhbar ho jaana kabhi jab aandhiyan chalti hain hum ko yaad aata hai hawa ka tez chalna aap ka diwar ho jaana bahut dushwar hai mere liye us ka tasawwur bhi bahut aasan hai us ke liye dushwar ho jaana kisi ki yaad aati hai to ye bhi yaad aata hai kahin chalne ki zid karna mera tayyar ho jaana kahani ka ye hissa ab bhi koi khwab lagta hai tera sar par bitha lena mera dastar ho jaana mohabbat ek na ek din ye hunar tum ko sikha degi baghawat par utarna aur khud-mukhtar ho jaana nazar nichi kiye us ka guzarna pas se mere zara si der rukna phir saba-raftar ho jaana
This is a great mukhtar ansari shayari. True lovers of gulzar shayari on life in hindi will love this. Please share if you liked this!!!