KHalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe

khalwat-e-jaan mein tera dard basana chahe
dil samundar mein bhi diwar uthana chahe

parda-dari ye mohabbat ko nibhana chahe
dil mein chhup kar wo kahan samne aana chahe

us ke daman pe bikhar jae sitaron ki tarah
khamushi haal agar apna suna chahe

us se kya koi kare aag bujhane ka sawal
wo to jazbaat mein bas aag lagana chahe

husn barham ki manane ko hai sadiyan darkar
rose ek tark-e-talluq ka bahana chahe

ishq ko farsh bhi kanton ka gawara hai magar
husn har haal mein ek aaina-khana chahe

ban gaya meri mohabbat ka harif ai 'akhgar'
main jise chahun usi ko ye zamana chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close