KHamosh bhi rah jae aur izhaar bhi kar de

khamosh bhi rah jae aur izhaar bhi kar de
taswir wo haziq hai jo bimar bhi kar de

hum se to na hogi kabhi is tarah mohabbat
jo had se guzarne pe gunahgar bhi kar de

is bar bhi tawil-e-shab-o-roz nai hai
mumkin hai wo qail mujhe is bar bhi kar de

aflak-talashi mein hun us burj ki khatir
jo mere khazane ko falak par bhi kar de

aahang-e-tasawwur se jo larzish hai ragon mein
us ko mere khame ka sarokar bhi kar de

wo bait jo masdud mein rauzan ka sabab hain
un ko gul-e-aweza-e-diwar bhi kar de

qirtas pe 'tafzil' rawan jue kali-rang
shayad mere lafzon ko mazedar bhi kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close