kharab ho gaya jab mere jism ka kaghaz to meri ruh ne pahna hai dusra kaghaz guzar di hai yun hi jodte ghatate hue sawal hal na hue aur bhar gaya kaghaz gharib-e-shahr hun ghar hai na karobar koi kabhi bichhata kabhi odhta raha kaghaz huruf raqs-kunan ho gae achanak hi labon se apne jo us ne kabhi chhua kaghaz wo din bhi yaad hain hum ko tumhaare hijran mein hamare beach mein jab rabta bana kaghaz use jo naw banaya to gharq-e-ab hua kuchh aur der to lahron se khelta kaghaz adalaton mein bhi jhuti gawahiyon ke liye tamam-umr zaban kholta raha kaghaz futur zehn mein bhar kar hawas ke nezon par uchhaalta raha hum ko haram ka kaghaz