khat dekhiye didar ki sujhi ye nai hai waifar ki jagah aankh lifafe pe lagi hai khakistar-e-tan khair ho barbaad hui hai udti ye khabar gard-e-parida se sani hai ham-khwabi-e-jaanan meri qismat mein likhi hai sote mein zulekha ki tarah aankh lagi hai lau ishq ki wo hai ki patange ko jala kar sar mein jo lagi shama ke talwe mein bujhi hai mit jaega har aadam-e-khaki ka muraqqa taswir-e-gili jo hai bigadne ko bani hai rone ko main hun barish-e-baran ke muqabil aansu jo thame dida-e-pur-nam to hansi hai ji jaun ki mar jaun main is nala-kashi se nathnon mein hai dam nai ki tarah nak mein ji hai tapken hawasen kyun na pasine se hamare har raungte se khwahish-e-dil phut bahi hai sine pe dhare hath na mujh sokhta-jaan ke pahlu mein kaleje ki jagah aag dabi hai qazi ka irada hai ki hai mai ka muchalka tauba dar-e-mai-khana pe dene ko dhahi hai ab 'shad' ghazal aur kaho qaid-e-rawi mein is ke to sab abyat mein ita-e-jali hai