KHauf-zada logon se rasm-o-rah baDhate phirte hain

khauf-zada logon se rasm-o-rah badhate phirte hain
hum be-khwabi ke mausam mein khwab dikhate phirte hain

ban-than kar chalte hain ghar se aur us kucha mein nahin jate
rasta rasta rahgiron se hath milate phirte hain

hum diwane hum ko yara kab hai shor machane ka
hum to apne andar ki aawaz chhupate phirte hain

logo man ka bhed na kholo lekin kuchh munh se bolo
ye sannate pas-e-manzar mein shor machate phirte hain

hum ne tere hijr ko aakhir kar-e-jahan taslim kiya
duniya-dari karte hain aur dhyan batate phirte hain

basti mein kya chiz nahin jo virane mein hoti hai
log purane ghaaron mein kyun dip jalate phirte hain

jab bhi teri yaad aati hai dil bahlana padta hai
pahron tanha sadkon par hum gane gate phirte hain

ye aawara log nahin hain dhund rahe hain basti ko
hum bhi tere shahr ki galiyon mein chakraate phirte hain

bin barti har chiz mein 'mohsin' ek din ghun lag jata hai
us dar se hum apne badan ko dhup lagate phirte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close