KHayal ban ke wo mujh mein utar bhi aata hai

khayal ban ke wo mujh mein utar bhi aata hai
ki rafta rafta dua mein asar bhi aata hai

jise talash hai khush-rang aabshaaron ki
wo zakhm zakhm badan le ke ghar bhi aata hai

charagh ban ke chamakta hun sang-rezo mein
sawad-e-shab mujhe aisa hunar bhi aata hai

na jism-o-jaan ka andhera na raston ka ghubar
jo tu mile to ek aisa safar bhi aata hai

lahu lahu jo raha pattharon ki barish mein
gali gali wahi chehra nazar bhi aata hai

use bhi pyar ke mausam pasand hain 'jazib'
safar ki dhup mein jalne shajar bhi aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close