KHayal-e-jubba-o-dastar bhi nahin baqi

khayal-e-jubba-o-dastar bhi nahin baqi
wo kashmakash hai ki ek tar bhi nahin baqi

chaman ko raund gae qafile bahaaron ke
gulon ka zikr hi kya khar bhi nahin baqi

lagi hui hain zamir-e-hayat par mohren
kisi mein jurat-e-izhaar bhi nahin baqi

kabhi kabhi jo rag-e-jaan se phut padta hai
wo naghma-e-rasn-o-dar bhi nahin baqi

hamein to kufr ka tana diya tha waiz ne
haram mein ab koi din-dar bhi nahin baqi

luta jo apna gulistan to hum ne ye samjha
koi bahisht ufuq par bhi nahin baqi

guzar gae wo sukhan-fahmiyon ke hangame
koi kisi ka taraf-dar bhi nahin baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close