KHayal ko zau nazar ko tabish nafas ko raKHshandagi milegi

khayal ko zau nazar ko tabish nafas ko rakhshandagi milegi
bhadak utha soz-e-gham jo dil mein to har kahin raushni milegi

khalish ki tah mein sukun milega alam ki tah mein khushi milegi
baghaur dekho to maut mein bhi tumhein nai zindagi milegi

maqam-e-insan maqam-e-yazdan mein fasla hai bas ek qadam ka
jahan malegi khudi ki sarhad wahin had-e-be-khudi milegi

ye zauq-e-sajda shikast-khurda tabiaton ki hai khud-farebi
bashar ki taslim ki tahon mein bashar ki kam-himmati milegi

nigah jitni bulandi hogi ye utni hi arjumand hogi
ba-qadr-e-qurb-e-falak kiran mein hararat-o-raushni milegi

hai khud-shanasi jahan-shanasi jahan-shanasi khuda-shanasi
mili jo tujh ko khudi ki daulat to daulat-e-sarmadi milegi

agar hai teri nigah baaligh agar hai tera shuur pukhta
to jehl ki zulmaton hi se tujh ko mashal-e-agahi malegi

gham-o-musarrat milenge baham to zindagi bhi chamak uthegi
ye ru hai manfi ye ru hai musbat milegi ye raushni milegi

rah-e-talab ke safar mein 'rana' sukun hai khwab-o-khayal yaksar
qadam qadam thokaren lagengi nafas nafas barhami milegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close