khemgi-e-shab hai tishnagi din hai wahi dariya hai aur wahi din hai is qadar mat udas ho jaise ye mohabbat ka aakhiri din hai ek diya dil ki raushni ka safir ho mayassar to raat bhi din hai khak udate kahan pe jaoge ab to ye dasht bhi koi din hai sham aaegi shab daraegi tu abhi laut ja abhi din hai aur wo baam se utar bhi gaya log samjhe the waqai din hai mehrban shab ki rah mein 'babar' abhi ek aur ajnabi din hai