khirad ko aazmana chahta hun junun ki zad pe lana chahta hun jo thi hasil teri mahfil se pahle usi khalwat mein jaana chahta hun na hon jis mein numayan haal-o-mazi koi aisa zamana chahta hun teri khatir jinhen begana samjha unhen apna banana chahta hun mohabbat par pae-tark-e-mohabbat koi tohmat lagana chahta hun