khizan ke dosh pe hai fasl-e-gul ka rakht abhi ki barg-o-bar se khali hai har darakht abhi abhi ghamon se ibarat hai sar-nawisht-e-bashar ki aasman pare hai zamin sakht abhi samajh shua-e-burida na sirf jugnu ko kiran kiran ka jigar hoga lakht lakht abhi mata-e-jaan bhi use pesh kar chuka hun main mere raqib ka lahja hai kyun karakht abhi tamam raat raha mai-kada-nashin 'jafar' gaya hai uth ke yahan se wo nek-bakht abhi