khoya hua sa rahta hun aksar main ishq mein ya yun kaho ki hosh mein aane laga hun main ye ibtida-e-shauq ki haalat na ho kahin mahfil mein us se aankh churane laga hun main ab kyun gila rahega mujhe hijr-e-yar ka be-tabiyon se lutf uthane laga hun main