khoya kya paya kya hisab na kar

khoya kya paya kya hisab na kar
to abas waqt ko kharab na kar

chhod hargiz na rah-e-haq-goi
apni manzil ko yun kharab na kar

saf rakh apna daman-e-kirdar
tu use ashkon se pur-ab na kar

gham na kar dusron pe kya guzre
tu kabhi haq se ijtinab na kar

gham bhi hain zindagi ka ek hissa
dusron ko tu intisab na kar

jo faraez hain bhul jaen 'karan'
is qadar khud ko mahw-e-khwab na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close