khud apne jazb-e-mohabbat ki intiha hun main tere jamal ki taswir ban gaya hun main hadis-e-ishq hun afsana-e-wafa hun main bhula sake na jise tum wo majra hun main meri sarisht hai hans hans ke zakhm-e-gham khana ki hadsat mein pal kar jawan hua hun main unhen yaqin nahin mere khulus-e-ulfat ka wafa ka apni ye inam pa raha hun main hamid jis ne mitaya hai bar bar mujhe usi fareb-e-mohabbat mein mubtala hun main