khud lafz pas-e-lafz kabhi dekh sake bhi kaghaz ki ye diwar kisi tarah gire bhi kis dard se raushan hai siyah-khana-e-hasti suraj nazar aata hai hamein raat gae bhi wo hum ki ghurur-e-saf-e-ada-shikni the aakhir sar-e-bazar hue khwar bike bhi bahti hain rag o pai mein do-abe ki hawaen ek aur samundar hai samundar se pare bhi akhlaq o sharafat ka andhera hai wo ghar mein jalte nahin masum gunahon ke diye bhi