khud pukaregi jo manzil to thahar jaunga warna khuddar musafir hun guzar jaunga aandhiyon ka mujhe kya khauf main patthar thahra ret ka dher nahin hun jo bikhar jaunga zindagi apni kitabon mein chhupa le warna tere auraq ke manind bikhar jaunga main hun ab tere khayalat ka ek aks-e-jamil aaina-khane se nikla to kidhar jaunga mujh ko haalat mein uljha hua rahne de yunhi main teri zulf nahin hun jo sanwar jaunga tez-raftar sahi lakh mera azm-e-safar waqt aawaz jo dega to thahar jaunga dam na lene ki qasam khai hai main ne 'razmi' mujh ko manzil bhi pukare to guzar jaunga
This is a great khuddar shayari 2 line. Please share if you liked this!!!