KHud se bhi wo Darta hoga

khud se bhi wo darta hoga
wo bhi mere jaisa hoga

zakhm-e-jigar se jo tapka hai
us ki aankh se bahta hoga

sochon mein aae chupke se
nange panw chalta hoga

dar pe dastak dene wala
us ki yaad ka jhonka hoga

mahak utha hai mera badan bhi
khushbu mein wo rahta hoga

sath-e-ab pe ek chehra hai
lahron mein wo rahta hoga

ab to khwab jaziron mein wo
yaad ke kankar chunta hoga

khoya khoya sa khud main hi
logon se wo milta hoga

dekh ke girte patton ko wo
pahron baith ke rota hoga

dasht-e-gham ke sannate mein
wo bhi tanha tanha hoga

dil mein chhupa kar meri yaaden
pahron nazmen likhta hoga

mast hawaon se hi 'umar' wo
mere naghme sunta hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close