khud se hua juda to mila martaba tujhe aazad ho ke mujh se magar kya mila tujhe ek lahza apni aankh mein tu jhank le agar aaun nazar mein bikhra hua ja-ba-ja tujhe tha mujh ko tera phenka hua phul hi bahut lafzon ka ehtimam bhi karna pada tujhe ye aur baat main ne sadaen hazar din aai na dasht-e-haul se ek bhi sada tujhe tu ne bhi khud ko markaz-e-alam samajh liya lag hi gai zamane ki aakhir hawa tujhe kya qahr hai ki rangon ke is izhdiham mein juz rang-e-zard aur na kuchh bhi mila tujhe nazron ne tar tar kiya aasman tamam aai na ras taron bhari ye rida tujhe daim rahe safar mein tera naqa-e-khayal deta rahun main roz yahi bad-dua tujhe kahne ko chand gam tha ye arsa-e-hayat lekin tamam umr hi chalna pada tujhe