khuda ki mar wo ayyam-e-shor-o-shar guzre wo jin sawar tha sar par ki sar se dar-guzre halal bhi mere haq mein haram wawaila nigah-e-shauq se kya kya gul-o-samar guzre jo sabz-bagh-e-tamanna pe pher de pani khuda bachae hum aisi nazar se dar-guzre nikale aib mein sau husn husn mein sau aib khayal hi to hai jaisa bandhe jidhar guzre zamin panw tale se nikal gai to kya hum apni dhun mein zamane se be-khabar guzre maza na pochhiye wallah dil dukhane ka kahan ka khauf-e-khuda than li to kar guzre adab ke waste kitnon ke dil dukhae hain 'yagana' had se guzarna na tha magar guzre