khuda se bhi kab koi furqat kati hai shab-e-hijr shab se bhi pahle bani hai main ek khwab hun tera dekha hua hun tu ek nind hai mujh mein soi padi hai hawas to nahin hai magar ye thi sach hai mujhe tujh badan ki tamanna rahi hai mujhe is se aazad kar dusri la ye zanjir pairon mein kam bolti hai main apne gunahon pe nadim nahin hun ye tauba to teri mohabbat mein ki hai