KHudaya kash tujhi ko gawah kar lete

khudaya kash tujhi ko gawah kar lete
nigah-e-khalq se bach kar gunah kar lete

hayat khud hi mere dard ki pasban hoti
urus-e-marg se ek din jo chah kar lete

falak na rahta na ru-e-zamin ki rangini
tumhaare jaur-o-sitam par jo aah kar lete

na karte jabr kisi par bhi log phir shayad
jo ikhtiyar pe apne nigah kar lete

gadagari ke to ilzam se bache rahte
hum apne sar pe agar kaj-kulah kar lete

hamari fikr ka thoda sa to sila milta
jo ahl-e-bazm hi kuchh wah wah kar lete

nibah lete zamane se hum bhi mar-khap kar
jo aap 'asar' ke dil mein na rah kar lete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close