khudi ka raazdan ho kar khudi ki dastan ho ja jahan se kya gharaz tujh ko tu aap apna jahan ho ja bayan-e-paemali shikwa-e-barq-e-tapan ho ja gulistan-e-jahan ke patte patte ki zaban ho ja sharik-e-karwan hone ki go taqat nahin tujh mein magar itni to himmat kar ki gard-e-karwan ho ja tazalzul se bari ho tera istiqlal ulfat mein yaqin par yaqin ho ja guman-e-be-guman ho ja kisi surat to sharh-e-arzu-e-shauq karni hai zaban chup hai agar ai dil to aap apni zaban ho ja zamane par bharosa kar na raaz-e-ishq ka ai dil jahan tak ho sake tu aap apna raaz-dan ho ja tujhe daghon ke lakhon mah-o-anjum mil hi jaenge uth ai dard-e-dil par aah uth kar aasman ho ja kabhi to aarzi sa ek tabassum lab pe aane de kabhi to mehrban mujh par mere na-mehrban ho ja tere aane pe ai tir-e-nigah-e-naz main khush hun dil-e-betab mein aa kar hisab-e-dostan ho ja bulandi nam se ai 'arsh' mil sakti nahin tujh ko zamin-e-sher par auj-e-sukhan se aasman ho ja